Saturday, September 25, 2010

Aisa pehli baar (to nahi) hua hai ;-)

Aisa pehli baar hua hai
Satrah-atrah saalon mein
Undekha anjaana koi
Aane laga khayalon mein

Aankhon ki khidki par
Ek saaya sa lehraata hai
Dil ke darwaze par
Koi dastak dekar jaata hai

Gehri gehri kaali aankhen
Mujhse mujhko poochti hai
Haathon ki rekhaon mein
Ek chehra sa ban jaata hai

Uski saansein resham jaisi
Gaalon ko chu jaati hai
Uski haathon ki khushboo hai
Ab tak mere baalon mein

Haan! aisa pehli baar hua hai
Satrah-atrah saalon mein
Undekha anjaana koi
Aane laga khayalon mein

No comments: